bevafaa tere ruuTh jaane se
aaNkh miltii nahiiN zamaane se
aarizaa ho gayaa hai rone kaa
chand ghaRiyoN ke muskuraane se
kitne tuufaaN uTheNge saahil par
ek kashtii ke Duub jaane se
DhuuNd aayaa tujhe zamaane meN
tum kahaaN gum ho ek zamaane se
ab to duniyaa se jaa rahaa huuN maiN
lauT aao isii bahaane se
kis qadar baRh gayii hai lazzat-e-Gham
shiddat-e-Gham meN muskuraane se.