Pages

http://sabtvonline.com/

Showing posts with label 26 January Hindi Poetry. Show all posts
Showing posts with label 26 January Hindi Poetry. Show all posts

Thursday, October 3, 2013

26 January Hindi Shayari sms on Republic day

Following is one of the biggest collection of 26 January Hindi Shayari sms on Republic day. Send these latest and best 26 January Hindi Shayari (Poetry) sms on Republic day to your friends , family and teachers .
Nahi sirf Jashn Manana,
Nahi sirf Jhande Lehrana,
Yeh Kaafi nahi hai watanparasti,
Yadon ko nahi bhulana,
Jo Qurbaan hue,
Unke lafzon ko aage badhana,
Khuda ke liye nahi ..
Zindagi Watan k liye Nibhana.
.
Airna hai to smandar mein tairo
Nadi naalo mein kya rakha hai?
Pyar karna hai to watan se karo
In bewafa ladko mein kya rakha hai.
JAI HIND Happy republic day .
Tairna hai to samandar me tairo,
nadi naalon me kya rakha hai,
Pyar karna hai to watan se karo…
in bewafa ladkion me kya rakha hai
Happy republic day

Kehte hain alvida hum ab is jahaan ko,
Jaakr Khuda ke ghar se phir aaya na jaayega.
Ahle-e-vatan agarche humein bhool jaayenge,
Ahal-e-vatan ko humse bhulaya na jaayega.
Zulmo-sitam se tang naa aayenge hum kabhi,
Humse sare-niyaaz jhukaya na jaayega.
Isse ziyada aur sitam kya karenge vo,
Isse ziyada unse sataya na jaayega.
Yeh sach hai, maut humko mita degi dahar se,
Lekin hamara naam mitaya na jaayega.
Hum zindagi se rooth ke baithe hain jail mein,
Ab zindagi se humko manaya na jayega.
Humne lagayi aag hai jo inqalaab ki,
Is aag ko kisi se bujhaya na jaayega.
Yaron! Hai ab bhi waqt humein dekh-bhaal lo,
Phir kuch pata hamara lagaya na jaayega.
Ai maut! Jald aa ki tera intezaar hai,
Ab humse baare-jeest uthaya na jaayega.
Aazaad hum kara na sake apne mulq ko,
‘Khanjar’ yeh muh Khuda ko dikhaya na jaayega.
Share with us more 26 January Hindi Shayari sms on Republic day in comments section

Desh bhakti shayari in Hindi

( Desh bhakti shayari in Hindi )
Adhikar milte nahi liye jate hain
Aajad hain magar gulami kiye jate hain
Vandan karo un senaniyon ko
Jo maut ko aanchal mein jiye jate hain…
Desh Bhakti, Ek Dujey Ke Liye Pyar Abb Yahan Harr Dil Mein Hain
Dekh Lenge Jorr Jitna Bazuein Katil Mein Hain
Devta Tum Jitne Bomb Se Udaou
Mita Na Sakogey Aaastha Jo Dil Mein Hain
Bal, Budhi Aur Vidhya Hai Kann Kann Mein
Josh Abb Hamarey Bhi Dil Mein Hain!!!
Bhakti Aaur Adbhut Shakti Bass Yehi Hamari Mehfil Mein Hai
Dekhna Hai Jorr Kitna Bazuein Katil Mein Hain

http://sabtvonline.com/